Tuesday 15 March 2016

GUZARTI HAVAA SE MOHABBAT

A very poor attempt at a different language. Apologies offered in advance, brickbats welcome.... Mulaiza farmayein...


Toofan se bachne ki khwaish mat kar;
Toofan teri taqdeer hai.

Na faryaad kar ki Toofan tal jaye;
Kya yeh taqdeer gair ko mil jaye?

Gale se laga le us taqdeer ko
Jiska Allah mezbaan hai.

Murshid hi daryaa paar utaarega
Chaahe tu aaj ja ya kal ja.

Na keh tu Allah ki marzi se
Ki “ai Toofan, aaj tal ja”

Kashti hai aitbaar ki
Maujon ka maalik Maula;


Charhega to tarega
Majhi hai tera Maula.

Bharosa rakh us maalik pe
Taqdeerein jo likhta hai;

Toofan bhi uska apna hai
Bas tujhko vairee dihkta hai.

Maujon se tujhe ladna nahin
Maujein bhi to uski hain.

Kar de khud ko us ke havaley
Taqdeerein jo likhta hai.





2 comments:

  1. Sir this is not at all a poor attempt but a truly graceful and harmonizing expression.I have to share something with you on the same line...so please bear with me..

    Is taqdeer ki jadugariyan hain
    Kabhi toofan to kabhi khamoshiyan hain
    Uske khel who hi jaane
    Hum to bebas kathputliyan hai
    Tera faisla karega wo hi na ghabra ai insaan
    Rakh tasveer uski mehfooz seene mein
    Jo nahi wo to sab veeraniya hai
    Ik roz jaana hai chale jayenge
    Prr abaad hai jab talak maan uski hi rehnumaiyan hai
    Bhool ke saare dard bebak ji le tu
    Khushi aur ghum kuch nahi bss taqdeer ki parchaiyan hai..

    ReplyDelete
    Replies
    1. Zarra navaazee ke liye shukriya. Aapne alfaaz pasand kiye, samajh liya ki parvardigaar ne reham bhari aankhon se dekh liya..

      Aapne bhi kya khoob khayaal likh bheje! Ab sach-much lagta hai ki gaadi Uske sahaarey paar utar hi jayegi. Ab kahe ka ghabraana!

      Delete